EXPERIENCE LA-GRANDE BY HEMANT BORSE

THIS IS MY DAY TO DAY JOURNEY THESE ARE MY WORDS FOR MY WORK

CHEMISTRY KI LOVE STORY
Thursday, June 4, 2009
Na Chemistry Hoti Na Love Hota

Na Chemistry hoti na main Student hota
Na ye Lab hoti Na Ye Accident Hota


Abhi Practical main ayee nazar Ek Ladki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi

Baton main Us ki Glucose ki Mithas thi
Sanson main Ester ki Khushboo bhi sath thi

Aankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Pyaar
Bin Piye hi ho jata hai Alcohol la Khumar

Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsaas
Andhere main hota tha Radium ka Abhas

Nazrain mileen, reaction hua
Kuch is tarah Love ka Production hua

Lagne lage Us ke Ghar ke Chakkar aise
Nucleus ke charon taraf Electron hon jaise

Us din hamare Test ka Confirmation hua
Jab us ke daddy se hamara Introduction hua
Sun kar hamari baat wo aise Uchal pare
Ignesium Tube main jaise Sodium Bharak uthe

Wo bole, Hosh main aao, Pahchano apni Auqat
Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath

Ye sun ker Tuta hamare Armanon Bhara Beaker
Aur ham Chup rahe Benzaldehyde ka Karwa Ghoont pee ker

Ab us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na tha

Zindagi ho gayee Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
Aur ham phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah




Dedicated to ALL CHEMICAL ENGINEERS..

Labels:

posted by Hemant Narendra Borse @ 10:14 AM

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home

Previous Posts
Visit the Site

Powered by Blogger

MARVEL and SPIDER-MAN: TM & © 2007 Marvel Characters, Inc. Motion Picture © 2007 Columbia Pictures Industries, Inc. All Rights Reserved. © 2007 Sony Pictures Digital Inc. All rights reserved.